Thursday, June 24, 2010

Aaj Ke NEWS Paper Me... (आज के न्यूज़ पेपर में..)


Aaj ke NEWS paper me

khabar aayee hai,

Ek bichare innocent chor ne

Faansi lagayee hai.

Wo apne Job se

Ho gaya pareshaan,

DinDahade chori ka

Prayaas hua nakaam.

Vaakkya kuch aesa hua shrimaan

Wo chori ke erade se gaya Software Eng. ke dhaam,

Wo kadi mehnat ka pujaari, jiske liye chodi duniya dari,

Wahaan uski mehnat huyee nakaam.

Tala toda, andar gaya,

Apne kartavya se peeche na hata.

Success ki aas mein,

Rupye paisoon ki piyaas mein.

Mehenat usne khoob ki,

par kismat uske saath na thi.

Kuch bhi usko mil na paya,

Ulte Pawn wo ghar ko aaya.

Ye dukh wo sahan nahi kar paya,

Faansi par khudko chadaya....

Agar aap aange aaye,

Maanavta aapni dikhlaye.

Aesi aatma-hattaya aage,

Hone na payen.

Ghar jab bhi khali, chhod ke jayen.

Cash, jewelry rakh kar jayen,

Jab bhi koi ghar mein aaye

Khali haanth na wo jane paye...

Maanavta hai kartavya hamara

Cash, jewelry hai moh maya.....

Janhit mein jari….

Monday, June 14, 2010

My Wedding Pics


My Wedding Pics... :)




Australian Parrots...